Mike Lost in Chandani Chawk
Mike “The Maniac” Toreno jo Los Santos mein gangsters ko goli se nachata tha ek din aa gira Dilli ke Chandni Chowk mein Gucci shoes doob gaye naali aur smell aisi jaise aloo bhujia ne apni retirement party wahi kar li ho Horns baj rahe the jaise DJ wale babu aur bheed toh ekdum tsunami level ki thi tabhi ek rickshaw vaala stuntman jaisa aaya aur Mike ka ghutna almost le gaya aur haske bola “Swagat hai Dilli mein bhai” Bechara Mike road pe almost rohne hi wala tha jab ek chappal vaala vendor ne chillake bola “Arre bhaijaan memory delete karne wali Yaad Bhulao chappal le lo purani yaade gayi aur naye dhokhe ke liye free space mil gaya” Mike haske bola “Arre yeh toh floppy disk lag raha hai kya” vendor ka smile gayab aur ek thappad aisa pada ki puri gali mein dolby digital surround sound ghoom gaya Mike ka gaal lal tamatar ban gaya aur respect Chandni Chowk ke chappal vaale ko donate kar diya Aur us din Mike ko samajh aaya ki mafia boss se bachna aasaan hai par Dilli ke chappal waale se bachna namumkin hai